WASEELA (part-1)
Tujh ko Kya denge yeh shah e Madina per chodde
Tu ghulam hai unka sab kuch unki ataa per chodde
Apni bakshish ki fikr karne wala tu hai kaun
Yeh Mustafa ka kaam hai Mustafa per chodde
Aur kya hai Biddat Kya hai Sunnat
Faisla tu khud na kar
Yeh Bareli kay shah e Imam Ahmed raza per chodde.
WASILE PE KUCH ARZ
Shuru Se millate Islami me ye akeeda salf salahin se chala aaraha hai k Musalman apni duao me Allah k Mehboob bando ka buzurgane Din aur digar Taburrakat ka Wasila lete aaye hai magar ab kuch aise kharji firko ka wajood hua jinke saamne agar wasile ki baat kardo to unka hajma bigad jaata hai. Wasile ka lafz sunte hi wo log Shirk Biddat ki bayan baaji karne lagte hai baaj Hazrat wasile ko haraam kehte hai aur kuch kam akal k nazdeek ye shirk hojata hai. Maazallah
Ye khud me confuse hojate hai k Wasila lena shirk hai ya Haraam inke kuch maulvi haraam kehte hai kuch Shirk aur kuch k Nazdik Jaiz hojata hai.
Halanki inko khud thek se pata nhi hota bas bolne lagte hai jab inse pucha jaaye wasila kis cheez ko kaha jaata hai to wasile ka matlab batane se bhi ye millo dur nazar aate hai baat ko yaha waha ghumane lagenge. Alhamdulillah, hum Ahlesunnat wal Jamaat ka aqeeda hai ki beshak ALLAH TA'ALA kisi Waseele ka mohtaj to nahi wo chahe to bagair waseele ke bhi jo kuch chahe ata kar sakta hai. Lekin fir bhi usne Qainat ka jo nizam chalaya wo waseele se chalaya to pata chalta hai ki ALLAH TA'ALA ko waseela pasand hai, isiliye hum Ahlesunnat wal jamaat apni duaao ke liye ALLAH ki bargah me waseela pesh karte hain..
Misal ke taur pe aaiye dekhte hain ki ALLAH TA'ALA ne Hazrat ADAM Alaihe salam ko jab paida kiya, to bagair Maa Baap ke paida kiya aur jab chaha to duniya me bhej diya, to ALLAH ne ye zahir kar diya ki wo kisi Waseele ka mohtaj nahi hai, wo chahe to bagair waseele bagair maa bap ke bhi kisi ko paida farma sakta hai aur usey khila pila sakta hai. haajat rawai kar sakta hai lekin fir ALLAH ne Hazrat Adam Alaihe salam ke baad se kisi ko bhi wagair waseela, bagair maa baap ke duniya me nahi bheja, balki sabko maa baap ke zariye, sari naslo ko Hazrat Adam alaihe salam ke waseele se duniya ka nizam qayem kar dia, taki duniya wale ye bhi dekh len ki ALLAH ko Waseela hi pasand hai.
"Aye Imaan Waalo, Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Talash Karo Aur Uski Raah Me Zihad Karo, Is Ummid Par Ki Tum Falaah Paao"
(Surah Al Maida Ayat 35)
Quran e Pak ki aayat se ye wajah hua k Waseela ka saaf hukm Quran me mauzood hai ab iska direct hi inkaar karne waala kaafir hoga ye shirk to ho hi nahi sakta agar Waseela Shirk hai to kya Quran me Allah khud hi iska hukm de sakta hai ?? hargiz nahi lekin Sawal ye hai k waseela kis ka jaiz hai kiska nahi hai zaahir si baat hai Allah Subhanawta'la uska hi waseela pakadne ko pasand karega jo Allah ki bargaah me makbool ho aur Allah un chizo ko Qurbiyat o Makbooliyat Di ho. Is pure article ko padhne k baad aap ko waseele k talluk se kaafi aitraaz khatm hojaynge. Insha Allah عزوجل
Waseele Ka Maane
"Jiske Jariye Kisi Tak Pahucha Jaaye Aur Uska Kurb Hasil Kiya Jaaye"
(Ref : by Ibn Manjur, Imam of Lughat Lihsansul Arab Jild : 11 pg : 725)
“Jiske Jariye Kisi Se Kurb Aur Nazdiki Haasil Ki Jaaye Usko Waseela Kehte Hai”
(Ref : Al Tarifaat Pg : 225)
(Ref : Al Tarifaat Pg : 225)
Waseela ALLAH عزوجل ka Qurb haasil karna hai, Ahle Sunnat wal jamaat me Waseela kay taluq me Hayat o wafat ka paimana hi nahi Balki Qurbiyat dekhi jaati hai kay ALLAH عزوجل ne kise shafi banaya, kise qurbiyat ataa ki hai aur inhi ka waseela talash karne ka hukum bhi aaya hai Quran me. Lekin Wahbi kehte hai Baad wafat Waseela Jayaz nahi toh is per hum ilzami sawaal karte hai ki Jab NABI ﷺ zahiri duniya me maujud the toh waseela Jayaz tha aur beshak ALLAH عزوجل ne aapko who qurbiyat ataa ki kay aapki dua kabhi radd nahi hosakti toh Wahbiyon ko chahiye ki aisi dalil pesh kare kay jisse yeh saabit ho ki Zahiri duniya me Qurb tha aur wafat baad Qurbiyat khatam hojaati hai.
NOTE: Qayamat tak ka waqt deta hu, yeh dalil laakar dikhade.
Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ki WILADAT Se Pehle Huzoor ﷺ K Waseele Ka Saboot :
YAHOOD WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam K WILADAT Se Pehle Waseele Ka Saboot :
YAHOODI WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Hadees 01:
Hazrat Abduallah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne farmaya:
"kahybar k yahoodi Ghatfaan qabeelay say bar sar e paykaar raha karty thy (Yani larty rehty thy), pas jab bhi dono ka samna hua yahoodi Shikast kha gaay. Phir Yahoodiyun nain is dua k zareeay panah mangi:
'Ay ALLAH hum tujh say Ummi NABI MUHAMMAD MUSTAFA ﷺ k waseelay say sawal karty hain jinhain to tu nain Akhri Zamana main hamary liay bhyjny ka hum say wada farmaya hay k in (Duhsmanon) k mubqably main hamary madad farma.'
Rawi kehty hain: Pas Jab bhi wo dushman k samny ay to unhoun nain yehe dua mangi aur Ghatfaan (Qabeela) ko shikast di. Laykin jab HUZUR NABI AKRAM ﷺ mab'us huay to unhoun ne AAP ﷺ ka inkar kiya. Is par ALLAH Ta'ala nain yeh ayat utari:
“Aur Jab Unke Pass Allah Ki Kitab (Quran) Aayi Jo Unke Saath Waali Kitab (Toraat) Ki Tasdeek Farmati Aur Isse Pehle Wo Isi Nabi K Waseele Se Kafiro Par Fatah Maangte The To Jab Tashrif Laaya Unke Pass Who Jaana Pehchana, Us Se Inkaar Kar Bethe To Allah Ki Lanaat Inkaar Karne Waalo Par”
(Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 89)
'Halnky is say pehly wo khud Ay Muhammad ﷺ ! ap k waseelay say kaafiron par Fatah-yaabi ki dua mangty thy.'"
References :
1. (Imam Haakim : Al Mustadrak Vol : 2 Pg : 316, Hadith number : 3101)
Scan page
Al Mustadrak Vol : 2 Pg : 316, Hadith : 3101 |
Front Cover of Tafseer Ibn Katheer |
(2) Ibn e Katheer Book : Tafseer Al Quran AL Azeem Vol : 1 Pg : 326
Scan Page of Tafseer ibn Kathir is belowTafseer ibn Kathir Vol : 1 Pg : 326 |
3) Abu Nu'ym : Dalael Un Nubuwwah Vol : 1, Pg : 82, Hadees : 43
4) Imam Jalal Ud Din Suyuti - Dar Al Manthur Vol : 1, Pg : 467-468
5)Ibn e Hajr 'Asqalani ,Al Isabah Vol : 2 Pg : 383
6)Imam Tabari - Jami' al Bayan Vol: 1 Pg : 411
7) Imam Bayhaqi - Dalaail An Nubuwwah Vol : 2 Pg : 76
aur bhi bahot se muhadiseen aur mufassireen ne isko likha hai.
Hadees 01 - A
Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai wo bayan karte hai Yahud Huzur e Akram ﷺ k waseele se Kuffar o Mushrikeen par fateh ki dua karte the aur fateh paate the par jab Aaka ﷺ jaahir hue to wo munkir hogye, ek martaba Hazrat Muadh Bin Jabal aur Bashar Bin Barra Bin Maroor Razi allaho Anho azmain ne Yahudio se kaha Aye yahud Allah عزوجل se daro hum
'Ay Yahood ! ALLAH عزوجل say daro aur Islam lay ao, Jab hum Ahl-e-Shirk thy to tum Naam e Muhammad ﷺ k sath hum par fatah manga karty thy, AAP ﷺ k be'sat aur seerat ko hum par paish karty thy.'
Yeh sun kar Salam bin Mishkam (Yahoodi) nain kaha:
'Yeh wo NABI nahi jis ka zikar hum karty thy aur jo sifaat hum bayan karty thy, wo is main nahi.
Is par ALLAH عزوجل nain yeh ayat utari Surah Baqraah ayat 89
Refrence:
[Abu Nu'ym Book : Dalael Un Nubuwwah Vol : 1 Pg : 82 Hadees : 43]
Is Hadees se pata chala k jab Ahle Yahood bhi Aaka ﷺ k waseele se kuffar o mushrikeen se fateh paane ki dua karte to ALLAH عزوجل unki duao ko bhi kabool kar liya karte Qurban Jao Musalmano Khatiman Nabiyeen ﷺ par k Allah عزوجل unke waseele se dua kabool kar liya karta hai aur Alhamdullilah Hum to musalman hai hamari duaye kyu na kabool ho wo to jalwagiri k pehle ka aalam tha to ab bhala ye kaise shirk hosakta hai ??
Hazrat Aadam Alaihi Salam ki Dua Huzoor E Kareem Sal Allahu Alaihi Wassalam K Tawwasul Se :
Hadees 02:
Hazrat Umar Farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya,
Jab Aadam alaihe salam se ek khata sarzad ho gayi aur fir unhone ALLAH عزوجل se is tarah dua ki, ''Aye Allah, عزوجل mai Muahammed ﷺ ke waseele se tujhse dua mangta hu, mujhe maaf kar de,''
to Allah Taala ne pucha, 'Tumne Muhammed ﷺ ko kaise jaana?' to Hazrat Aadam alaihe salam ne farmaya: Jab tune mujhe banaya tha tab maine apna sar upar ki taraf uthaya to dekha ki Arsh likha tha,
'LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH'
tab mai samajh gaya ki inka maqam bahot Aalaha hai,
warna tumne ye naam apne naam ke sath nahi likha hota,
ALLAH عزوجل ne farmaya:
''Maine tumhe bakhsh diya, aur wo tumhari hi aulado me se mere Akhri Rasool honge, aur maine unhi ke sadqe tumhe paida farmaya hai.''
Dusri Riwayat me hai ki
Jab ALLAH عزوجل ne asman-o-zameen ko paida farmaya to
Arsh ke khambo per, Jannat ke darwazo per, Darakhto ki pattiyo par likha tha ki MUHAMMED ﷺ aakhri Rasool hain,
Ye dono Riwayaten Saheeh hain,
References :
[Tabarani Mu'jam Al-Ausat Vol: 06, Pg No. 313-314, Hadees : 6502]
[ Al Majmua Fatawa Ibn Taymiyya , Vol. 2, page 150
[ Ta'rikh Ibn Kathir , chapter on 'Story of Adam']
[Shifa-us-siqam fi ziyarat khayr-il-anam Page No. 120-121]
[Imam Bulqini ne apne fatwe me is hadees ko Sahee karar diya. Hafiz Ibn Taymiyya, ke balawa bhi is riwayat ko Dusre Muhaddesin Hafiz Imam Suyuti, al-Bayhaqi aur Tabrani, ne bhi Saheeh sanad ke sath naqal farmaya hai.
Scan Page of Imam Tabrani Rehmatullah Alaihi Mujam AL Ausat
Masla :
1) Jab Huzoor E Akram ﷺ k waseele se Adam Alaihi Salam ki dua Allah Rabbul Izzat me Makbool hui halanki us wakt to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam is dunya me Paida bhi na hue us wakt bhi Sarkar E Do Alam ﷺ ka waseela Allah عزوجل ki bargah me liya jaata tha to aaj bhala ye lena kyukar Nazaiz o shirk hoga ?
2) Hazrat Adam Alaihi Salam ne Dua me Mustafa ﷺ ka waseela leke ye jahen diya mai Nabi hoke waseela talab kar raha hu to tum to ummati ho tumhe khud kitna waseela lena chahye.
3) Is masle me Shiddat pasand maulvi ibne Taimya tak Ahlus Sunnah se muttafik hua hai halanki bahot masle me Ibn Taimya ne iktelaf kiya hai Izma k khilaf par yaha ibn Taimya ne bhi ikraar kiya k ye Hadees sahi hai aur waseela e Mustafa ﷺ bhi haq hai.
4) Jab Wiladat se kabl waseela jaiz tha to abto Kainat me sirf aur sirf Huzoor ﷺ k hi ummati honge Aaka ﷺ ki hi shariyat chalegi to ab kyukar waseela haram shirk hoga ??
Pata Chala Waseela Talab karna Nabi e Karim ﷺ ka khud Ambiya Alaihi Salam ki sunnat hai.
Huzoor ﷺ ki Hayat E Tayyaba me Waseele Ka Saboot :
Hadees 03 :
Hazrat Usman Bin Hunaif رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat hai,ki ek Naa-beena(Andha ) shaks Nabi ﷺ ki bargah m hazir hua aur bola, 'Aap mere liye dua kijiye ki ALLAH عزوجل mujhe shifa ata farmaye,'
to Aap ﷺ ne farmaya: 'Agar tum sabr karo, to ye tumhare liye zyada behtar hoga, aur agar tum chaho to mai tumhare liye dua karu' To usne kaha 'Aap Dua kijiye,' Aap alaihe salam ne farmaya: jao, achhi tarah wuzu karo, aur fir 2 Rakat namaz padho, aur fir is tarah Dua karo,
"Allahumma lnni as'aluka wa atawajjahu ilaikabimuhamma din nabiyyir-rahma. Ya Muhammadu inni qad tawajjahtu bika ila rabbi fi hajati hadhihi lituqda. Allahumma fashaffi’hu fiya.
Tarjuma: Aye ALLAH! عزوجل mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed ﷺ Nabi-e-Rehmat ﷺ ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed ﷺ, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! عزوجل Ye Waseela qubul farma'
References :
[Tirmidhi As-Sunan, Vol-05, Page-569, Hadith-3578]
[Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 313, Hadees : 519]
[Ibn Majah As-Sunan, Volume-01, Page-197, Kitab : Iqamat Al Salat Wa Sunnat, Hadith-1385]
[Nasa’i - Amal Al Yawm Wal Layla Pg : 417, Hadees -658,659]
Scan page of Sunan Tirmidhi
Imam Tirmizi ne Is Hadees ko Hasan Karar diya Imam Hakim ne Sahi Likha hai
Qazi Shawkani Jinhe Gair Mukallideen Ahle Hadees Jamat k nazdik bahot Motebar maana jaata hai Apni kitab Tuhfatuz Zakireen me Isi Hadees k hawale se likhte hai "Aur Is Hadees e paak se Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam k Waseela Lene Ka Saboot Milta hai Lekin Ye Akeeda Ho k ALLAH HI ATA KARTA HAI WO HI LETA HAI JO ALLAH CHAHE JO NA CHAHE WO HI HONA HAI"
Scan page niche hai mulahiza ho
[Tuhfatuz Zakireen, Pg.138. By Qazi Shawkani]
Scan Page of Tuhfatuz Zakireen by Qazi Shawkani
SubhanALLAH Haq hai Sar Chad k Bolega ...
Is Hadees e Mubaraka se wajeh hua k Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka bhi Mamoor Tha k wo Aaka ﷺ k Waseele se dua manga karte the aur Aaka ﷺ ne kabhi khud k waseele ko bhi inkaar nahi kiya agar Huzoor ka waseela Jaiz na hota to us naabeena sahabi ko saaf inkar kardete k tu mera waseela na talab kar direct Allah se dua maang mujhe tere aur Rab k bich me na la magar aisa na kiya aur sahaba bhi chahte to Allah se hi dua maang lete magar Huzur ﷺ k pass Aake wo ye akeeda de rahe hai beshak dene waala to Allah Rabbul Izzat hi hai par Huzoor ﷺ k sadke se hi dega Subhan Allah
Note : Kuch Hazrat Ye kehte milenge k yaha Waseela Sirf us wakt tak jaiz tha jab tak Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Ba Hayat the ab waseela shirk hoga. MaazAllahIs Hadees e Mubaraka se wajeh hua k Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka bhi Mamoor Tha k wo Aaka ﷺ k Waseele se dua manga karte the aur Aaka ﷺ ne kabhi khud k waseele ko bhi inkaar nahi kiya agar Huzoor ka waseela Jaiz na hota to us naabeena sahabi ko saaf inkar kardete k tu mera waseela na talab kar direct Allah se dua maang mujhe tere aur Rab k bich me na la magar aisa na kiya aur sahaba bhi chahte to Allah se hi dua maang lete magar Huzur ﷺ k pass Aake wo ye akeeda de rahe hai beshak dene waala to Allah Rabbul Izzat hi hai par Huzoor ﷺ k sadke se hi dega Subhan Allah
Hum yaha niche hi kuch aisi hadeese bhi pesh kar rahe hai jis se wajeh hojayga k Waseela har wakt jaiz hai.
Huzoor ﷺ k Baad Az Wisal Waseele Ka Saboot :
Hadees 04 :
Ek shaks kai bar Hazrat Usman Bin Affan radialla taala anhu ke paas apni hajat rawai ke liye aata, lekin Hazrat Usman radialla taala anhu ne uspar tawajjoh nahi diya,
tab wo Hazrat Usman Bin Hunaif radialla taala anhu ke paas gaya aur maamle ki shikayat ki.
To Hazrat Usman Bin Hunaif radialla taala anhu ne farmaya:
Jaao, achhi tarah wuzu karo, aur fir Masjid me aakar 2 rakat Namaz ada karo, aur fir is tarah kaho,
''Aye ALLAH! mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed allallaho alaihe wasallam Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed sallallaho alaihe wasallam, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! Ye Waseela qubul farma''
aur fir apni Haajat pesh karo, aur fir mai tumhare sath Hazrat Usman radialla taala anhu ke paas chalta hu.
To us shaks ne waisa hi kiya, jaisa ki use karne ke liye kaha gaya tha,
fir iske baad wo Hazrat Usman radialla taala anhu ki bargah me hazir hua, Darwaze wale ne is shaks ka hath pakda aur Hazrat Usman radialla taala anhu ke paas le jaakar bitha diya,
Hazrat Usman radialla taala anhu ne pucha, 'Tumhe kya chahiye?'
to us Shaks ne apni Hajat pesh kiya, jo kuch use zarurat thi, tab Hazrat Usman radialla taala anhu ne use ata farma diya.
References :
[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
[Imam Tabrani ne Ma'jam Al Kabeer Vol : 09 pg : 17-19, Hadees : 8311]
[Imam Haytami Ne Majma Az Zawaid Vol: 02, Baab : Salat Al Hajah, Hadees : 3668,]
[Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah]
[Imam Bayhaqi ne Dalail An nubuwwah Volume : 6 Page : 167-168]
[Imam Taqi ud Din Subki ne Shia As Siqam Vol : 1 Pg : 370-372, Baab : Baad Az Wisal Un Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam]
[Ibn Taymiyyah ne is hadees ko “Sahih” likha Qa'ida al Jaleela fit Tawassul wal Waseela Page No. 156]
[Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi, Vol :12,Baab 05 : Waseela E Mustafa Sal Allahu Alahi Wassalam Baad Az Wisal, Pg : 407]
See Scan Pages Of Hadees
1)[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
Front cover of Majam As Sageer
YE Scan Pages Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307, Hadees : 508 ka is hadees ko likne k baad Imam Tabrani ne Khud hi likha hai ye hadees sahi hai.. Subhan Allah
Ab Imam Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah ka Scan niche dekhiye
Aur bhi bahot se hai jo is hadees k sahi hone me gawahi dete hai ye do kaafi hai aur mazid dusri bhi hadees e paak hai jo yaha upload karni hai aur Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi me baab ka naam hi rakha hai Waseela Bad Aj Wisal aur us baab me ye hadees nakal ki hai sahi isnaad.
1) Baad az wisal Usman Bin Hunaif Radi Allaho Anho khud dusre shaks ko ye amal de rahe hai k jao aur usi trah dua karo jo nabeena sahabi ne kiya tha agar baad az wisal waseela nazaiz hota to bhala kyu hukm dete aur phr Hazrat Usmam Gani Razi Allaho anho ne bhi hazat puri ki hai aur akeeda diya hai k ye kaam hargiz shirk nahi hai.
Comments
Post a Comment