Posts

Showing posts from April, 2020

Waseela Part-3

Image
TABBARUKAT - MUKKADDAS MAKAMAT SE TAWASSUL OR BARKAT KA BAYAN Hazrat Yusuf Alaihi Salam K Kurta E Mubarak Se Tawwasul Barkat : "Mera Yeh Kurta Le Jao Ise Mere Baap k Muuh par Daalo Unki Aankh Khul Jaygi Aur Apne Sab Ghar Waalo Ko Mere Pass Le Aao" (Surah Yusuf Ayat 93) Hazrat Yusuf Alaihi salam apne Bhaiyo se kehte hai mera Kurta le jaao aur Mere Baap Yakoob Alaihi salam k chehre pe daalo wajah kya thi Yakoob Alaihi Salam ki aankhe gume Yusuf Alaihi Salam ki jhudai me khoob roya karte the jis se aakho ki binayi bhi jaati rahi the uske baad aage kya hua Quran ne iske aage ka zikr kiya k wo kurte se hua kya   "Phir Jab Khushi Sunane Waala Aaya Usne Woh Kurta Yakoob K Muuh Par Daala Ussi Wakt Uski Aankh Phir Aayi" (Surah Yusuf Ayat 96) Hazrat Yakoob Alaihi Salam bhi Nabi hai Yusuf Alaihi Salam bhi Nabi kya Nabio se badhkar Allah ki Tauheed ko koi samajh sakta hai Yakoob Alaihi salam chahte Dua karte Allah aankhe Ata kardeta Yusuf Alaihi Salam khud Ap...

Waseela (Part-2)

Image
Hadees 05 :   “Aur Humne Koi Rasul Na Bheja Magarisliye Kay ALLAH Kay Hukum Se Uski  Itaat Ki Jaaye Aur Agar Jab Who Apni Jaano Per Zulm Kare Toh A Mehbub Tumhare Huzur Haazir Ho Aur Phir ALLAH Se Maafi Chahe Aur Rasul Unki Shafa’at Farmaye Toh Zarur ALLAH Ko Bahut Tauba Qabul Karne Wala Maherbaan Paye” (Surah Nisa Ayat 64) Is ayat kay tahet Ullem e Kiram Hadees naqal karte hai : “NABI Sallallahualaihiwasallam ki wafat shareef kay baad ek arbi roza e aqdas per hazir hua aur roza shareef kay khaak paak apne sar per daali aur arz karne laga ya rasul ALLAH jo apne farmaya humne suna aur jo aap per naazil hua usme yeh aayat bhi hai   وَلَوْاَنَّھُمْ   اِذْ   ظَّلَمُوْا      mene beshak apni Jaan per zulm kiya aur apke huzur me ALLAH se apne gunah ki bakshish chahne haazir hua toh mere rab se meri gunah ki bakshish karaye is per qabr shareef se nida aayi ki teri bakshish ki gai”. References : 1) [Imam Ibn Kathir ne Tafseer Al Quran ...